Chorus :jaao....,jaao....
Shamshad: jaa_o sidhaaro
jaa_o sidhaaro he radha ke shyaam
Chorus : hey radha ke shyaam
Baatish : laaj tumhare haath hai dekho preet na ho badnaam
Chorus : preet naa ho badnaam
Shamshad : aaj se teri raah takungi aas kaa daaman thaam
Chorus : hey radha ke shyam
Baatish : bhool na jana koyee sidhara leke tumhara naam
Chorus : preet naa ho badnaam -3
Mukesh : dil ye kiska hai meri jaan jigar kiska hai -2
Shamshad : aavo milkar jawani ki looten bahaar -2
Mukesh : teri baahen gale mein hain phoolon ka haar
teri baahen
teri baahen gale mein hain phoolon ka haar
Both : aavo milkar jawani ki looten bahaar
aavo milakar jawaani ki
Shamshad : mujhko ulfat ke farebon mein bahut kuchh jakdaa -2
maine duniya ko jhatak kar tera daaman pakadaa -2
Mukesh : ab to raste mein apane nahi koyee khaar
ab to raste me
Shamshad : hoy
Both : ab to raste me apane nahi koyee khaar
aavo milkar jawani kee luten bahaar -2
aavo milakar jawaani ki
Baatish : idhar to dekh meri jaan kaun aya hai
ye kaun chand-sitare samet laya hai
ab to kar le pyaar sajaniya ab to kar le pyaar re -2
suraj jaisaa laya teeka chaand bhi jiske aage feeka -2
tere gale ko laya pyari jagamag-jagmag haar re -2
ab to kar le pyaar sajaniya ab to kar le pyaar re
ab to kar le pyaar sajaniya
dil me tadap rahe hain jo armaan nikaal de
mere gale me daud ke baanhen tu daal de
Shamshad : ab ye baanhe nahi bekal teri gardan ke liye
haath bhi ab naa badhana mere daaman ke liye
mil gayaa mere gulistaan ko sajaane wala -2
laal-o-gauhar mere kadamo pe lutane wala -2
tera-mera nata kya hai mera uska pyar re
mera uska pyar re
mera uska pyar re
Baatish : apne pahlu me samajhta tha ke dil rakhti hai tu
Chorus : ke dil rakhti hai tu
Baatish : dil nahi seene me ek patthar ki sil rakhti hai tu
Chorus : patthar ki sil rakhti hai tu
Baatish : makr ki putali wafa ke naam ki dushman hai tu
Chorus : dushman hai tu
Baatish : das ke mere dil ko jo palti hai wo naagan hai tu
Chorus : naagan hai tu -3
Baatish : apani izzat apani vaqaat apani gairat bech di
Chorus : gairat bech di, bech di
Baatish : tune daulat ke liye apani mohabbat bech di
Chorus : mohabbat bech di
Baatish : mohabbat bech di
Chorus : mohabbat bech di
Baatish : mohabbat bech di
Lyricist:Prem Dhawan |
Shamshad Begum |
Music Director:ANIL BISWAS |
Mukesh |
S.D.BAATISH |
1 comment:
Anil Biswas ji was a very talented M.D. Film industtry did not give him what he deserved
Post a Comment